Saturday, October 25, 2014










Wo Humsafar Tha Magar Usse Hum Nawayi Na Thi
Ki Dhoop Chhaon Ka Alam Raha Judayi Na Thi

Na Apna Ranj Na Auro Ka Dukh Na Tera Malal
Shab-e-firaq Kabhi Humne Yu Ganwayi Na Thi

Mohabbato Ka Safar Kuch Is Tarah Bhi Guzra Tha
Shikasta Dil The Musafir Shikast Payi Na Thi

Adawatein Thi, Taghaful Tha, Ranjishen Thi
Bicharne Wale Mai Sab Kuch Tha, Bewafayi Na Thi

Bicharte waqt Un Ankho Mai Thi Humari Ghazal
Ghazal Bhi Wo Jo Kabhi Kisi Ko Sunayi Na Thi

Kise Pukar Raha Tha Wo Doobta Hua Din
Sada To Aayi Thi Magar Koi Duhayi Na Thi

Tark-e-Tallukaat Pe Roya Na Tu Na Main
Lekin Ye Kya Chain Se Soya Na Tu Na Main

Kabhi Ye Haal Ki Dono Mai Yak-Dili Thi Bohat
Kabhi Ye Marhala Jaise Ki Aashnayi Na Thi

Ajeeb Hoti Hai Rahe Sukhan Bhi Dekh Naseer
Wahan Bhi Aa Gaye Aakhir Jahan Rasayi Na Thi

No comments:

Post a Comment

It's true the moment I saw you, i knew you were the one. Your heart was fire, like magic, an arrow shot from a gun. Your eyes, ...