Ek Ghazal
Ek ghazal tere liye zaroor likhungi
Behisaab usme tera qasoor likhungi
Tu guftaar ka mahir, tu kirdaar ka mahir
Phir husn ko tere, tera guroor likhungi
Toot gaye bachpan ke tere sare khilone
Ab dilon se khelna tera dastoor likhungi
Raha ishq ka daawa tujhe tamam umar
Wafa ki dehleez se tujhe mafroor likhungi
Khud sakhta jo hai tera judayi ka faisla
Aise har iqdaaam ko na manzoor likhungi
Mujhe kehne ki adat nahi, likhne ka shauq hai
Jazbaat ko apne qalam ki taseer likhungi
Tera wajood, mera wajood mujhe ek sa lage
Par tujhe main khud se bohat door likhungi

No comments:
Post a Comment