Wednesday, May 7, 2014
Thursday, May 1, 2014
Ek Ghazal
Ek ghazal tere liye zaroor likhungi
Behisaab usme tera qasoor likhungi
Tu guftaar ka mahir, tu kirdaar ka mahir
Phir husn ko tere, tera guroor likhungi
Toot gaye bachpan ke tere sare khilone
Ab dilon se khelna tera dastoor likhungi
Raha ishq ka daawa tujhe tamam umar
Wafa ki dehleez se tujhe mafroor likhungi
Khud sakhta jo hai tera judayi ka faisla
Aise har iqdaaam ko na manzoor likhungi
Mujhe kehne ki adat nahi, likhne ka shauq hai
Jazbaat ko apne qalam ki taseer likhungi
Tera wajood, mera wajood mujhe ek sa lage
Par tujhe main khud se bohat door likhungi

Subscribe to:
Posts (Atom)
It's true the moment I saw you, i knew you were the one. Your heart was fire, like magic, an arrow shot from a gun. Your eyes, ...
-
Mohabbat Kisi ne nahi jana kya cheez hai mohabbat Dil ki gehrai hai ya zindagi hai mohabbat Humne bhi kab jana tha jab lagayi thi ye l...
-
इंतज़ार... मेरी आँखों का इंतज़ार, इंतज़ार रह गया वो कुछ ना कह कर भी सब कुछ कह गया सीने में छुपा दर्द जब लफ्ज़ो में पिरोया मै...
-
Yunhi ranjisho mai guzar gaye, Kabhi wo khafa, kabhi main khafa. Chahato ke mod par, kabhi main ruki, kabhi wo ruka. wahi raaste wahi ...